Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat wo hai jis mein kuchh kisi se ho nahin sakta

Qalaq Merathi

mohabbat wo hai jis mein kuchh kisi se ho nahin sakta

Qalaq Merathi

MORE BYQalaq Merathi

    mohabbat vo hai jis meñ kuchh kisī se ho nahīñ saktā

    jo ho saktā hai vo bhī aadmī se ho nahīñ saktā

    ye kahnā hai to kyā kahnā ki kahte kahte ruk jaanā

    bayān-e-hasrat-e-dil bhī to se ho nahīñ saktā

    uchaTtī nigāheñ kab jigar ke paar hotī haiñ

    karo ḳhuuñ dost ban kar dushmanī se ho nahīñ saktā

    hameñ kyoñ dil diyā aur dilrubā.ī un meñ kyoñ rakkhī

    ḳhudā dushman butoñ bandagī se ho nahīñ saktā

    dam-e-ruḳhsat vo mujh ko dekh kar be-ḳhud to kyā hogā

    na uThne deñ unheñ ye bhī ġhashī se ho nahīñ saktā

    ba-rañg-e-nāla kis kis dhuum se uḌtā hai rañg apnā

    tirī furqat parda ḳhāmushī se ho nahīñ saktā

    'qalaq' paiġhām terā aur bayāñ phir us sitamgar se

    kisī se ho nahīñ saktā kisī se ho nahīñ saktā

    mohabbat wo hai jis mein kuchh kisi se ho nahin sakta

    jo ho sakta hai wo bhi aadmi se ho nahin sakta

    ye kahna hai to kya kahna ki kahte kahte ruk jaana

    bayan-e-hasrat-e-dil bhi to ji se ho nahin sakta

    uchaTti si nigahen kab jigar ke par hoti hain

    karo KHun dost ban kar dushmani se ho nahin sakta

    hamein kyon dil diya aur dilrubai un mein kyon rakkhi

    KHuda dushman buton ki bandagi se ho nahin sakta

    dam-e-ruKHsat wo mujh ko dekh kar be-KHud to kya hoga

    na uThne den unhen ye bhi ghashi se ho nahin sakta

    ba-rang-e-nala kis kis dhum se uDta hai rang apna

    teri furqat ka parda KHamushi se ho nahin sakta

    'qalaq' paigham tera aur bayan phir us sitamgar se

    kisi se ho nahin sakta kisi se ho nahin sakta

    Source :
    • Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 29)
    • Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now