mohabbaten jab hisab mangengi nafraton ka jawaz hoga
mohabbateñ jab hisāb māñgeñgī nafratoñ kā javāz hogā
vo jis safar meñ sa.ūbateñ hoñ vo ābgīna-navāz hogā
kuchh aisī mushkil sī aa paḌī hai ki chehra ā.īna ban gayā hai
mujhe ye dhaḌkā hai dil meñ rakkhā ayaañ vo muddat kā raaz hogā
tilism kahiye ki yā tamanna ragoñ meñ paara lahū banā hai
lahū jo Tapkegā ashk ban kar nazar se ulfat kā saaz hogā
ye manzaroñ meñ jo aa ga.e haiñ kisī ilāqe ke sabz taa.ir
ye hijratoñ kā hasīn mausam faroġh-e-gulshan ba-nāz hogā
akele-pan kī 'duā' ye shiddat hī maar Daale kahīñ na mujh ko
vo aa.egā to ye merā honā bhī us ke sarf-e-niyāz hogā
mohabbaten jab hisab mangengi nafraton ka jawaz hoga
wo jis safar mein saubaten hon wo aabgina-nawaz hoga
kuchh aisi mushkil si aa paDi hai ki chehra aaina ban gaya hai
mujhe ye dhaDka hai dil mein rakkha ayan wo muddat ka raaz hoga
tilism kahiye ki ya tamanna ragon mein para lahu bana hai
lahu jo Tapkega ashk ban kar nazar se ulfat ka saz hoga
ye manzaron mein jo aa gae hain kisi ilaqe ke sabz tair
ye hijraton ka hasin mausam farogh-e-gulshan ba-naz hoga
akele-pan ki 'dua' ye shiddat hi mar Dale kahin na mujh ko
wo aaega to ye mera hona bhi us ke sarf-e-niyaz hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.