mohabbaten to milin go wafa mili na mili
mohabbaten to milin go wafa mili na mili
Yasmin Husaini Zaidi Nikhat
MORE BYYasmin Husaini Zaidi Nikhat
mohabbateñ to milīñ go vafā milī na milī
safar hasīn thā manzil kā kyā milī na milī
na dostoñ se tavaqqo na dushmanoñ se gurez
ye dil thā gor-e-ġharībāñ sham.a jalī na jalī
ajab sā habs hai insāniyat ke zehnoñ meñ
kise ho fikr ki bād-e-sabā chalī na chalī
tire visāl ke lamhoñ ko munjamid kar luuñ
shab-e-firāq kā kyā hai Dhalī Dhalī na Dhalī
hamārā ishq bhī had se guzarnā chāhtā hai
ki dil ho mahv-e-takallum nazar milī na milī
nahīñ hai fikr koī bāġhbān ko 'nik.hat'
bahār aa.ī na aa.ī kalī khilī na khilī
mohabbaten to milin go wafa mili na mili
safar hasin tha manzil ka kya mili na mili
na doston se tawaqqo na dushmanon se gurez
ye dil tha gor-e-ghariban shama jali na jali
ajab sa habs hai insaniyat ke zehnon mein
kise ho fikr ki baad-e-saba chali na chali
tere visal ke lamhon ko munjamid kar lun
shab-e-firaq ka kya hai Dhali Dhali na Dhali
hamara ishq bhi had se guzarna chahta hai
ki dil ho mahw-e-takallum nazar mili na mili
nahin hai fikr koi baghban ko 'nikhat'
bahaar aai na aai kali khili na khili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.