mohabbaton ka azab maine ghamon ki surat chuka diya hai
mohabbaton ka azab maine ghamon ki surat chuka diya hai
Umood Abrar Ahmad
MORE BYUmood Abrar Ahmad
mohabbatoñ kā 'azāb maiñ ne ġhamoñ kī sūrat chukā diyā hai
na chheḌ mujh ko ai mere dushman ki maiñ ne ḳhud ko miTā diyā hai
adā-e-dil meñ guloñ kī ḳhushbū mahak rahī hai 'azāb ban kar
ye dil kā saudā kiyā hai tū ne ki dil ko majnūñ banā diyā hai
taḌap ke maiñ ne jo terī yādoñ kā dil meñ apne gulāb rakkhā
na dil hī mahkā na ye chaman hī jo yaad thā sab bhulā diyā hai
ye hijr aur ye visāl donoñ tumhāre hone se munsalik the
ye parda-poshī jo darmiyāñ thī hijāb kis ne uThā diyā hai
kamāl ye thā ki jis kī ḳhātir zamāne vāloñ se laḌ paḌī maiñ
usī ne dāman ko chhed Daalā usī ne dil varġhalā diyā hai
tamām vā'de vafā kareñge ye tai huā thā so is liye bhī
vafā kī rah meñ maiñ jhuk ga.ī thī charāġh-e-dil ko bujhā diyā hai
qadam qadam par aziyyatoñ ke nishāñ mile the chahār-jānib
maiñ sū-e-maqtal chalī ga.ī thī ye kis ne qissa sunā diyā hai
maiñ rāh-e-haq se bhaTak ga.ī thī na koī manzil thī na nishāñ thā
dil-e-shikasta kī ḳhair jis ne charāġh shab kā jalā diyā hai
'umūd' soī rahī maiñ shab bhar 'ajīb halchal machī huī thī
ki qahr barpā huā thā shab ko ye ḳhvāb kis ne dikhā diyā hai
mohabbaton ka 'azab main ne ghamon ki surat chuka diya hai
na chheD mujh ko ai mere dushman ki main ne KHud ko miTa diya hai
ada-e-dil mein gulon ki KHushbu mahak rahi hai 'azab ban kar
ye dil ka sauda kiya hai tu ne ki dil ko majnun bana diya hai
taDap ke main ne jo teri yaadon ka dil mein apne gulab rakkha
na dil hi mahka na ye chaman hi jo yaad tha sab bhula diya hai
ye hijr aur ye visal donon tumhaare hone se munsalik the
ye parda-poshi jo darmiyan thi hijab kis ne uTha diya hai
kamal ye tha ki jis ki KHatir zamane walon se laD paDi main
usi ne daman ko chhed Dala usi ne dil warghala diya hai
tamam wa'de wafa karenge ye tai hua tha so is liye bhi
wafa ki rah mein main jhuk gai thi charagh-e-dil ko bujha diya hai
qadam qadam par aziyyaton ke nishan mile the chahaar-jaanib
main su-e-maqtal chali gai thi ye kis ne qissa suna diya hai
main rah-e-haq se bhaTak gai thi na koi manzil thi na nishan tha
dil-e-shikasta ki KHair jis ne charagh shab ka jala diya hai
'umud' soi rahi main shab bhar 'ajib halchal machi hui thi
ki qahr barpa hua tha shab ko ye KHwab kis ne dikha diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.