mohabbaton ka hasin magar muKHtasar sa hai ye fasana chhoDo
mohabbatoñ kā hasīñ magar muḳhtasar sā hai ye fasāna chhoḌo
bichhaḌ ke tum se haiñ jī rahe ham guzar gayā ik zamāna chhoḌo
tumhārā har ik sitam sahā hai baḌī aziyyat hai tum se paa.ī
mire sitamgar hue haiñ ghāyal hameñ ab aise satānā chhoḌo
vo jis jagah se guzar hamārā rahā thā ik bas tumhārī ḳhātir
hamārā dil ye kahe hai ham se ab us kī galiyoñ meñ jaanā chhoḌo
kabhī banāte ho ham ko apnā kabhī chhuḌāte ho apnā dāman
thakā rahe ho hameñ yā ḳhud ko hai jo bhī ab āzmānā chhoḌo
ajab sī ik kashmakash meñ gum the sabhī fasāne sabhī tarāne
so ham ne bhī hai bhulāyā us ko bas ik thā qissa purānā chhoḌo
mohabbaton ka hasin magar muKHtasar sa hai ye fasana chhoDo
bichhaD ke tum se hain ji rahe hum guzar gaya ek zamana chhoDo
tumhaara har ek sitam saha hai baDi aziyyat hai tum se pai
mere sitamgar hue hain ghayal hamein ab aise satana chhoDo
wo jis jagah se guzar hamara raha tha ek bas tumhaari KHatir
hamara dil ye kahe hai hum se ab us ki galiyon mein jaana chhoDo
kabhi banate ho hum ko apna kabhi chhuDate ho apna daman
thaka rahe ho hamein ya KHud ko hai jo bhi ab aazmana chhoDo
ajab si ek kashmakash mein gum the sabhi fasane sabhi tarane
so hum ne bhi hai bhulaya us ko bas ek tha qissa purana chhoDo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.