mohabbaton ka jo sar par wabaal rakkha hai
mohabbatoñ kā jo sar par vabāl rakkhā hai
futūr-e-ishq hai aur ham ne paal rakkhā hai
ye intiḳhāb jo ham ne kiyā hai jiine kā
firāq chun liyā hai aur visāl rakkhā hai
kisī bhī roz milo aur udāsiyāñ le lo
ham aise log haiñ sab pur-malāl rakkhā hai
ḳhizāñ ke phuul sañjo.e kitāb meñ rakkhe
fasīl-e-ġham se yuuñ rishta bahāl rakkhā hai
vo āḳhirash mujhe ḳhvāboñ meñ dekhne aayā
mire gale kā bhī kaisā ḳhayāl rakkhā hai
ye daur vo hai ki dil meñ koī rakhe na rakhe
nazar meñ sab ne mujhe bahr-e-hāl rakkhā hai
maiñ lā-javāb huī yuuñ kuchh us kī bātoñ se
mire savāl pe us ne savāl rakkhā hai
ġhazal ke sher mire kab ke mar ga.e hote
samā.atoñ ne unheñ dekh-bhāl rakkhā hai
mohabbaton ka jo sar par wabaal rakkha hai
futur-e-ishq hai aur hum ne pal rakkha hai
ye intiKHab jo hum ne kiya hai jine ka
firaq chun liya hai aur visal rakkha hai
kisi bhi roz milo aur udasiyan le lo
hum aise log hain sab pur-malal rakkha hai
KHizan ke phul sanjoe kitab mein rakkhe
fasil-e-gham se yun rishta bahaal rakkha hai
wo aaKHirash mujhe KHwabon mein dekhne aaya
mere gale ka bhi kaisa KHayal rakkha hai
ye daur wo hai ki dil mein koi rakhe na rakhe
nazar mein sab ne mujhe bahr-e-haal rakkha hai
main la-jawab hui yun kuchh us ki baaton se
mere sawal pe us ne sawal rakkha hai
ghazal ke sher mere kab ke mar gae hote
samaaton ne unhen dekh-bhaal rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.