mohabbaton ka maal chhoDo fasurdagi ka zawal rakh do
mohabbatoñ kā ma.aal chhoḌo fasurdagī kā zavāl rakh do
sitāre le lo tum apnī ḳhātir aur us kī ḳhātir hilāl rakh do
glacier bhī pighal chuke haiñ tumhārī furqat ke rafta rafta
udāsiyoñ kī jabīñ pe aao mohabbatoñ kā visāl rakh do
naqāhatoñ se ulajh paḌe haiñ masarratoñ ke hasīn lamhe
so mere hamdam qarīb aa ke malāl le lo jamāl rakh do
maiñ dast-basta mohabbatoñ ke safar pe tanhā nikal paḌī huuñ
banā ki ḳhushiyoñ ko ham-safar tum mire liye ab kudāl rakh do
'hirā' marāhim se tang aa kar ye us se kahtī haiñ dil kī dhaḌkan
nikhārte ho jo vahshatoñ se to mushfiqāna ḳhayāl rakh do
mohabbaton ka maal chhoDo fasurdagi ka zawal rakh do
sitare le lo tum apni KHatir aur us ki KHatir hilal rakh do
glacier bhi pighal chuke hain tumhaari furqat ke rafta rafta
udasiyon ki jabin pe aao mohabbaton ka visal rakh do
naqahaton se ulajh paDe hain masarraton ke hasin lamhe
so mere hamdam qarib aa ke malal le lo jamal rakh do
main dast-basta mohabbaton ke safar pe tanha nikal paDi hun
bana ki KHushiyon ko ham-safar tum mere liye ab kudal rakh do
'hira' marahim se tang aa kar ye us se kahti hain dil ki dhaDkan
nikhaarte ho jo wahshaton se to mushfiqana KHayal rakh do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.