mohabbaton ka rahbar mohabbaton ka ho gaya
mohabbatoñ kā rāhbar mohabbatoñ kā ho gayā
uḌā ke ḳhaak apnī aaj āsmāñ pe so gayā
hai barf barf chāñdnī udaas hai ye chāñd bhī
na jaane kaun āñsuoñ se raat ko bhigo gayā
na maiñ rahā huuñ maiñ na ab mirā koī vujūd hai
mire nafas nafas meñ ab vo ḳhud ko hī piro gayā
vo sard sard siskiyāñ vo bhīgtī ḳhamoshiyāñ
vo āñsuoñ meñ ab mire vujūd ko Dubo gayā
vo nekiyoñ kā ham-safar vo raushnī kā rāhbar
jo mere dil ke zaḳhm apne āñsuoñ se dho gayā
mohabbaton ka rahbar mohabbaton ka ho gaya
uDa ke KHak apni aaj aasman pe so gaya
hai barf barf chandni udas hai ye chand bhi
na jaane kaun aansuon se raat ko bhigo gaya
na main raha hun main na ab mera koi wujud hai
mere nafas nafas mein ab wo KHud ko hi piro gaya
wo sard sard siskiyan wo bhigti KHamoshiyan
wo aansuon mein ab mere wujud ko Dubo gaya
wo nekiyon ka ham-safar wo raushni ka rahbar
jo mere dil ke zaKHm apne aansuon se dho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.