mohabbaton ke karishme kamal karte hain
mohabbatoñ ke karishme kamāl karte haiñ
visāl-o-hijr ke lamhe kamāl karte haiñ
baḌe baḌe bhī dabāte haiñ uñglī daañt tale
kuchh aise aaj ke bachche kamāl karte haiñ
ḳhudā rakhe tujhe ābād ai mire shā'ir
tire kahe hue misre kamāl karte haiñ
saroñ pe rakhte haiñ duniyā ke tājdār unheñ
faqīr logoñ ke talve kamāl karte haiñ
kahīñ kahīñ huā kartī hai be-asar taqrīr
kahīñ kahīñ pe do jumle kamāl karte haiñ
hamārā vaqt bhī aaya agar kabhī 'sonam'
tumheñ dikhā.eñge kaise kamāl karte haiñ
mohabbaton ke karishme kamal karte hain
visal-o-hijr ke lamhe kamal karte hain
baDe baDe bhi dabaate hain ungli dant tale
kuchh aise aaj ke bachche kamal karte hain
KHuda rakhe tujhe aabaad ai mere sha'ir
tere kahe hue misre kamal karte hain
saron pe rakhte hain duniya ke tajdar unhen
faqir logon ke talwe kamal karte hain
kahin kahin hua karti hai be-asar taqrir
kahin kahin pe do jumle kamal karte hain
hamara waqt bhi aaya agar kabhi 'sonam'
tumhein dikhaenge kaise kamal karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.