mohabbaton ke ye dariya utar na jaen kahin
mohabbatoñ ke ye dariyā utar na jaa.eñ kahīñ
jo dil gulāb haiñ zaḳhmoñ se bhar na jaa.eñ kahīñ
abhī to vā'da-o-paimāñ hai aur ye haal apnā
visāl ho to ḳhushī se hī mar na jaa.eñ kahīñ
ye rang chehre ke aur ḳhvāb apnī āñkhoñ ke
havā chale koī aisī bikhar na jaa.eñ kahīñ
jhalak rahā hai jin āñkhoñ se ab vujūd mirā
ye āñkheñ haa.e ye āñkheñ mukar na jaa.eñ kahīñ
pukārtī hī na rah jaa.e ye zamīñ pyāsī
barasne vaale ye bādal guzar na jaa.eñ kahīñ
nidhāl ahl-e-tarab haiñ ki ahl-e-gulshan ke
bujhe bujhe se ye chehre sañvar na jaa.eñ kahīñ
fazā-e-shahr 'aqīdoñ kī dhund meñ hai asiir
nikal ke ghar se ab ahl-e-nazar na jaa.eñ kahīñ
mohabbaton ke ye dariya utar na jaen kahin
jo dil gulab hain zaKHmon se bhar na jaen kahin
abhi to wa'da-o-paiman hai aur ye haal apna
visal ho to KHushi se hi mar na jaen kahin
ye rang chehre ke aur KHwab apni aankhon ke
hawa chale koi aisi bikhar na jaen kahin
jhalak raha hai jin aankhon se ab wujud mera
ye aankhen hae ye aankhen mukar na jaen kahin
pukarti hi na rah jae ye zamin pyasi
barasne wale ye baadal guzar na jaen kahin
nidhaal ahl-e-tarab hain ki ahl-e-gulshan ke
bujhe bujhe se ye chehre sanwar na jaen kahin
faza-e-shahr 'aqidon ki dhund mein hai asir
nikal ke ghar se ab ahl-e-nazar na jaen kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.