mohabbaton ki inayaton se hua hai dil ye KHarab baba
Interesting Fact
Parwaz-e-Adab' (January-February 2002)
mohabbatoñ kī ināyatoñ se huā hai dil ye ḳharāb baabā
ḳhudā-parastī kā taur dekho banā hai kaisā azaab baabā
jhulas rahā hai zamīñ kā siina kiran kiran se duā karo tum
trāvatoñ kī do buuñd le kar yahāñ bhī barse sahāb baabā
hai fāqa-mastī kā silsila jab to aa.e saḳhtī qadam meñ kaise
ye nā-tavānī kī larzisheñ haiñ na pī hai maiñ ne sharāb baabā
fazā kī jab mo'atabar matānat gurez-pā ho ke rah ga.ī hai
kahāñ likhegā vo ḳhāmushī se savāl paḌh kar javāb baabā
hazār taftīsh par mujhe ab pata chalā hai ki mere dil ko
bahut hī bechain kar gayā thā sahar se shab kā hijāb baabā
tarah tarah se tabassumoñ meñ lapeT kar ḳhvāhishoñ ne luuTā
kise chhupā.ūñ kahāñ se bolūñ batāo mujh ko vo ḳhvāb baabā
muravvatoñ kī masarratoñ kī kahāniyāñ darj kī ga.ī thiiñ
jagah jagah se phaTī paḌī hai na kholo ab vo kitāb baabā
sa.ūbatoñ kī afādiyat se koī bhī munkir na ho sakegā
ki ḳhaar ke darmiyān rah kar mahak rahā hai gulāb baabā
vo sāTh-bāsaTh kī sīḌhiyoñ par thakāvatoñ se hai chuur phir bhī
sameT kar hausloñ ko 'ja.afar' talāshtā hai shabāb baabā
mohabbaton ki inayaton se hua hai dil ye KHarab baba
KHuda-parasti ka taur dekho bana hai kaisa azab baba
jhulas raha hai zamin ka sina kiran kiran se dua karo tum
trawaton ki do bund le kar yahan bhi barse sahab baba
hai faqa-masti ka silsila jab to aae saKHti qadam mein kaise
ye na-tawani ki larzishen hain na pi hai main ne sharab baba
faza ki jab mo'atabar matanat gurez-pa ho ke rah gai hai
kahan likhega wo KHamushi se sawal paDh kar jawab baba
hazar taftish par mujhe ab pata chala hai ki mere dil ko
bahut hi bechain kar gaya tha sahar se shab ka hijab baba
tarah tarah se tabassumon mein lapeT kar KHwahishon ne luTa
kise chhupaun kahan se bolun batao mujh ko wo KHwab baba
murawwaton ki masarraton ki kahaniyan darj ki gai thin
jagah jagah se phaTi paDi hai na kholo ab wo kitab baba
saubaton ki afadiyat se koi bhi munkir na ho sakega
ki KHar ke darmiyan rah kar mahak raha hai gulab baba
wo saTh-basaTh ki siDhiyon par thakawaton se hai chur phir bhi
sameT kar hauslon ko 'jafar' talashta hai shabab baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.