mohabbaton ki jo daulat luTaya karte hain
mohabbatoñ kī jo daulat luTāyā karte haiñ
unheñ hī log diloñ meñ basāyā karte haiñ
ghire hue haiñ masā.il meñ ahl-e-dil to kyā
gulāb kāñToñ meñ bhī muskurāyā karte haiñ
nasīb hotī haiñ un ko bulandiyāñ ik din
jo un ko paane ke raste banāyā karte haiñ
jo haar kar bhī nahīñ hāreñ hausla apnā
vo log haar ke bhī jiit jaayā karte haiñ
kabhī bhī bhuul ke ehsān un kā mat lenā
jo baat baat meñ ehsāñ jatāyā karte haiñ
salām kījiye 'yāsīn' un kī himmat ko
ġhamoñ kā bojh jo hañs kar uThāyā karte haiñ
mohabbaton ki jo daulat luTaya karte hain
unhen hi log dilon mein basaya karte hain
ghire hue hain masail mein ahl-e-dil to kya
gulab kanTon mein bhi muskuraya karte hain
nasib hoti hain un ko bulandiyan ek din
jo un ko pane ke raste banaya karte hain
jo haar kar bhi nahin haaren hausla apna
wo log haar ke bhi jit jaya karte hain
kabhi bhi bhul ke ehsan un ka mat lena
jo baat baat mein ehsan jataya karte hain
salam kijiye 'yasin' un ki himmat ko
ghamon ka bojh jo hans kar uThaya karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.