mohabbaton ki shaKH pe jo khil raha gulab hai
mohabbatoñ kī shāḳh pe jo khil rahā gulāb hai
kisī nigāh-e-'ishq kī du'ā-e-mustajāb hai
tirī nigāh-e-mast kā koī to aa.ina bane
ye kyā ki chashm-e-nam meñ bas ki aab hai sarāb hai
ulajh gayā na sho’bda-garoñ ke makr-chakr meñ
kahā nahīñ thā kyā tujhe ye rāsta ḳharāb hai
sadā-e-‘ishq marhabā sadā-e-kun zah-e-nasīb
ḳhudā ke ham sab aur 'ishq hamārā intiḳhāb hai
hamārī dhaḌkaneñ zarā Thahar ga.iiñ to kyā huā
hamāre bāzuoñ ko terā lams dastyāb hai
kabhī to is pe kaan rakh kabhī to is ko paḌh zarā
sirāt-e-mustaqīm kī jo āḳhirī kitāb hai
balā kī vahshateñ liye balā kī naġhmagī liye
zamīn-e-dil pe roz shaam utartā māhtāb hai
mohabbaton ki shaKH pe jo khil raha gulab hai
kisi nigah-e-'ishq ki du'a-e-mustajab hai
teri nigah-e-mast ka koi to aaina bane
ye kya ki chashm-e-nam mein bas ki aab hai sarab hai
ulajh gaya na sho’bda-garon ke makr-chakr mein
kaha nahin tha kya tujhe ye rasta KHarab hai
sada-e-‘ishq marhaba sada-e-kun zah-e-nasib
KHuda ke hum sab aur 'ishq hamara intiKHab hai
hamari dhaDkanen zara Thahar gain to kya hua
hamare bazuon ko tera lams dastyab hai
kabhi to is pe kan rakh kabhi to is ko paDh zara
siraat-e-mustaqim ki jo aaKHiri kitab hai
bala ki wahshaten liye bala ki naghmagi liye
zamin-e-dil pe roz sham utarta mahtab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.