mohabbaton ko kahin se madad nahin milti
mohabbatoñ ko kahīñ se madad nahīñ miltī
ye jang aisī hai jis meñ rasad nahīñ miltī
ye ḳhvāb mar ke bhī āñkhoñ meñ rakkhe rahte haiñ
ye lāshe aise haiñ jin ko lahad nahīñ miltī
ye nafratoñ kī masāfat tavīl hai kitnī
tamām 'umr chalo phir bhī had nahīñ miltī
kisī kisī kā lahū āñsuoñ meñ bahtā hai
mohabbatoñ kī sabhī ko sanad nahīñ miltī
maiñ ek harf-e-ġhalat huuñ subūt meñ is ke
koī dalīl use mustanad nahīñ miltī
mohabbaton ko kahin se madad nahin milti
ye jang aisi hai jis mein rasad nahin milti
ye KHwab mar ke bhi aankhon mein rakkhe rahte hain
ye lashe aise hain jin ko lahad nahin milti
ye nafraton ki masafat tawil hai kitni
tamam 'umr chalo phir bhi had nahin milti
kisi kisi ka lahu aansuon mein bahta hai
mohabbaton ki sabhi ko sanad nahin milti
main ek harf-e-ghalat hun subut mein is ke
koi dalil use mustanad nahin milti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.