mohabbaton mein bhi thoDa adab zaruri tha
mohabbatoñ meñ bhī thoḌā adab zarūrī thā
phir us ke baa'd meñ jo kuchh thā sab zarūrī thā
maiñ kah rahī thī ki insāniyat zarūrī thī
vo kah rahā thā ki nām-o-nasab zarūrī thā
tamām 'umr rahā yuuñ to saayā ban ke magar
vo tab nahīñ thā mire paas jab zarūrī thā
maiñ varna dekh nahīñ paatī us ko jaate hue
diye bujhānā judā.ī kī shab zarūrī thā
hameñ bhī rog mohabbat kā lag gayā thā huzūr
hamārā honā bhī phir jāñ-ba-lab zarūrī thā
mujhe zarūrī thā vo shaḳhs aise hī 'sonam'
ki jaise duniyā meñ bandoñ ko rab zarūrī thā
mohabbaton mein bhi thoDa adab zaruri tha
phir us ke ba'd mein jo kuchh tha sab zaruri tha
main kah rahi thi ki insaniyat zaruri thi
wo kah raha tha ki nam-o-nasab zaruri tha
tamam 'umr raha yun to saya ban ke magar
wo tab nahin tha mere pas jab zaruri tha
main warna dekh nahin pati us ko jate hue
diye bujhana judai ki shab zaruri tha
hamein bhi rog mohabbat ka lag gaya tha huzur
hamara hona bhi phir jaan-ba-lab zaruri tha
mujhe zaruri tha wo shaKHs aise hi 'sonam'
ki jaise duniya mein bandon ko rab zaruri tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.