mohabbaton mein hatheli pe le ke sar aae
mohabbatoñ meñ hathelī pe le ke sar aa.e
balā-kashān-e-junūñ kaise be-ḳhatar aa.e
talāsh vo kare ḳhushiyāñ ki shauq hai us kā
ġhamoñ ko le ke jiyūñ mujh ko ye hunar aa.e
maiñ jāgūñ ḳhvāb se to sāmne use dekhūñ
mire nasīb meñ aisī koī sahar aa.e
zalīl kar hī diyā us ne mere jazboñ ko
vo jis pe ham to sabhī kuchh nisār kar aa.e
ye jurm mujh se huā thā sazā bhī maiñ bhugtūñ
tamām ishq ke ilzām mere sar aa.e
ye kyā ki āñkhoñ kī rāhoñ se dil meñ aatā hai
kabhī saḌak se guzar kar hamāre ghar aa.e
mohabbaton mein hatheli pe le ke sar aae
bala-kashan-e-junun kaise be-KHatar aae
talash wo kare KHushiyan ki shauq hai us ka
ghamon ko le ke jiyun mujh ko ye hunar aae
main jagun KHwab se to samne use dekhun
mere nasib mein aisi koi sahar aae
zalil kar hi diya us ne mere jazbon ko
wo jis pe hum to sabhi kuchh nisar kar aae
ye jurm mujh se hua tha saza bhi main bhugtun
tamam ishq ke ilzam mere sar aae
ye kya ki aankhon ki rahon se dil mein aata hai
kabhi saDak se guzar kar hamare ghar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.