Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbaton mein koi tumhaara ye haal kar de to kya karoge

Khalid Irfan

mohabbaton mein koi tumhaara ye haal kar de to kya karoge

Khalid Irfan

MORE BYKhalid Irfan

    mohabbatoñ meñ koī tumhārā ye haal kar de to kyā karoge

    bulā ke ghar meñ vo nine-one-one ko kaal kar de to kyā karoge

    green card us se le rahe ho magar natīja bhī yaad rakhnā

    yahāñ kaalī tumhāre chehre ko laal kar de to kyā karoge

    ye maiñ ne maanā tumhāre hāthoñ meñ sañg-e-marmar uñgliyāñ haiñ

    koī hasīna jo kāñch dil uchhāl kar de to kyā karoge

    jo tum paḌosan ko apnī biivī se chhup ke perfume de rahe ho

    vo jūtiyoñ se ye peshkash lā-zavāl kar de to kyā karoge

    zarīna jab se baḌī huī hai tum us zar-qurbatī na pūchho

    uchhāl kar dene vaale sake nikāl kar de to kyā karoge

    qalam se kātib ye likh rahā hai dalīl-e-sub.h-e-bahār ho tum

    dalīl daal ko badal kar vo zaal kar de to kyā karoge

    mushā.eron maiñ ulaT-palaT ke vo chaar ġhazleñ sunāne vaalo

    agar koī pāñchvīñ ġhazal savāl kar de to kyā karoge

    mohabbaton mein koi tumhaara ye haal kar de to kya karoge

    bula ke ghar mein wo nine-one-one ko kal kar de to kya karoge

    green card us se le rahe ho magar natija bhi yaad rakhna

    yahan ki kali tumhaare chehre ko lal kar de to kya karoge

    ye main ne mana tumhaare hathon mein sang-e-marmar ki ungliyan hain

    koi hasina jo kanch ka dil uchhaal kar de to kya karoge

    jo tum paDosan ko apni biwi se chhup ke perfume de rahe ho

    wo jutiyon se ye peshkash la-zawal kar de to kya karoge

    zarina jab se baDi hui hai tum us ki zar-qurbati na puchho

    uchhaal kar dene wale sake nikal kar de to kya karoge

    qalam se katib ye likh raha hai dalil-e-subh-e-bahaar ho tum

    dalil ki dal ko badal kar wo zal kar de to kya karoge

    mushaeron main ulaT-palaT ke wo chaar ghazlen sunane walo

    agar koi panchwin ghazal ka sawal kar de to kya karoge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now