mohabbaton mein wafa ka hisab kya rakhna
mohabbatoñ meñ vafā kā hisāb kyā rakhnā
kisī kitāb meñ sūkhe gulāb kyā rakhnā
vo kam-suḳhan to nahīñ haiñ magar ye sochā hai
ki un se jaarī savāl-o-javāb kyā rakhnā
vo mere haal se achchhī tarah se vāqif haiñ
phir un ke sāmne dil kī kitāb kyā rakhnā
nahīñ hai daaġh koī gar hamāre dāman par
to phir ye fikr-e-‘azāb-o-savāb kyā rakhnā
palaT ke biite hue din kabhī nahīñ aate
gayā shabāb to yād-e-shabāb kyā rakhnā
hijāb ġhair se rakhnā samajh meñ aatā hai
nahīñ vo ġhair to un se hijāb kyā rakhnā
hamāre dil meñ to dariyā basā hai jehlam kā
nazar meñ apnī samundar ke baab kyā rakhnā
mohabbaton mein wafa ka hisab kya rakhna
kisi kitab mein sukhe gulab kya rakhna
wo kam-suKHan to nahin hain magar ye socha hai
ki un se jari sawal-o-jawab kya rakhna
wo mere haal se achchhi tarah se waqif hain
phir un ke samne dil ki kitab kya rakhna
nahin hai dagh koi gar hamare daman par
to phir ye fikr-e-‘azab-o-sawab kya rakhna
palaT ke bite hue din kabhi nahin aate
gaya shabab to yaad-e-shabab kya rakhna
hijab ghair se rakhna samajh mein aata hai
nahin wo ghair to un se hijab kya rakhna
hamare dil mein to dariya basa hai jehlam ka
nazar mein apni samundar ke bab kya rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.