mohr-ba-lab hai kis liye, kis liye bolta nahin
mohr-ba-lab hai kis liye, kis liye boltā nahīñ
ai dil-e-be-talab! batā kyā koī mudda.ā nahīñ
ahl-e-junūñ ko ab ke bhī izn-e-junūñ milā nahīñ
ab ke baras bhī baaġh meñ phuul koī khilā nahīñ
apnā qusūr hai to ye, aur koī ḳhatā nahīñ
ham ne faqīh-e-shahr ko maanā kabhī ḳhudā nahīñ
ye to huā ki raushnī aur bhī kuchh bhaḌak uThī
tez havā ke bāvajūd dil kā diyā bujhā nahīñ
rāh-e-talab meñ aaj tak ahl-e-talab kā qāfila
yuuñ hī ravāñ-davāñ rahā aur kabhī thakā nahīñ
kis se talab kareñ bhalā ḳhuun kā apne ḳhūñ-bahā
apne alāva aur koī apnā harīf thā nahīñ
dil kā ajiib rañg hai aur vo shaḳhs sañg hai
tā-ba-nigāh duur tak jis kā koī patā nahīñ
mohr-ba-lab hai kis liye, kis liye bolta nahin
ai dil-e-be-talab! bata kya koi muddaa nahin
ahl-e-junun ko ab ke bhi izn-e-junun mila nahin
ab ke baras bhi bagh mein phul koi khila nahin
apna qusur hai to ye, aur koi KHata nahin
hum ne faqih-e-shahr ko mana kabhi KHuda nahin
ye to hua ki raushni aur bhi kuchh bhaDak uThi
tez hawa ke bawajud dil ka diya bujha nahin
rah-e-talab mein aaj tak ahl-e-talab ka qafila
yun hi rawan-dawan raha aur kabhi thaka nahin
kis se talab karen bhala KHun ka apne KHun-baha
apne alawa aur koi apna harif tha nahin
dil ka ajib rang hai aur wo shaKHs sang hai
ta-ba-nigah dur tak jis ka koi pata nahin
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 307)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.