mol-tol karne walon se kya kahna
mol-tol karne vāloñ se kyā kahnā
dil motī par koī ḳhol nahīñ chaḌhtā
ek hī saudāgar manDī meñ haath aaya
vo bhī kabāḌī kartā raddī kā saudā
un par bhaa.ī bharosa karnā hī bekār
dhokā dene vaale dete haiñ dhokā
ham ne siip bhare dāman meñ lauT aa.e
siip the ḳhālī āḳhir ham ko kyā miltā
laakh pakaḌ kar un ke paañv baiTho tum
apnā rang na badleñge ham ne dekhā
ham pardes ga.e to shāyad bhuul ga.e
ham ne kiyā thā un se va.ada chhoTā sā
gahrī choT thī dil par khaa.ī mast hue
lekin vo kyūñkar karte haiñ vāvailā
pathrīlī dhartī par jiite marte haiñ
bāteñ karte rahte haiñ ḳhvāboñ kī sadā
jaisā hai jis haal meñ hai pā.inda rahe
marte marte us ne dī 'īraj' ko duā
mol-tol karne walon se kya kahna
dil moti par koi KHol nahin chaDhta
ek hi saudagar manDi mein hath aaya
wo bhi kabaDi karta raddi ka sauda
un par bhai bharosa karna hi bekar
dhoka dene wale dete hain dhoka
hum ne sip bhare daman mein lauT aae
sip the KHali aaKHir hum ko kya milta
lakh pakaD kar un ke panw baiTho tum
apna rang na badlenge hum ne dekha
hum pardes gae to shayad bhul gae
hum ne kiya tha un se wada chhoTa sa
gahri choT thi dil par khai mast hue
lekin wo kyunkar karte hain wawaila
pathrili dharti par jite marte hain
baaten karte rahte hain KHwabon ki sada
jaisa hai jis haal mein hai painda rahe
marte marte us ne di 'iraj' ko dua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.