mom ka ye jism mera dhup ki yalghaar hai
mom kā ye jism merā dhuup kī yalġhār hai
vaqt-e-mushkil hai madad maulā tirī darkār hai
phir tumhārī diid kā tarsā chalā jā.ūñgā maiñ
phir tumhāre shahr meñ aanā mirā bekār hai
aañkh nargis chāñd chehra zulf bādal lab gulāb
tū sarāpā ḳhāliq-e-kaunain kā shahkār hai
us se jo miltā hai us kā ho ke rah jaatā hai vo
us kī āñkheñ dil-barāna us kā chehra pyaar hai
jhuuT bolūñgā to maiñ andar se maarā jā.uñgā
sach bhī kahtā huuñ to gardan ke liye talvār hai
mom ka ye jism mera dhup ki yalghaar hai
waqt-e-mushkil hai madad maula teri darkar hai
phir tumhaari did ka tarsa chala jaunga main
phir tumhaare shahr mein aana mera bekar hai
aankh nargis chand chehra zulf baadal lab gulab
tu sarapa KHaliq-e-kaunain ka shahkar hai
us se jo milta hai us ka ho ke rah jata hai wo
us ki aankhen dil-barana us ka chehra pyar hai
jhuT bolunga to main andar se mara jaunga
sach bhi kahta hun to gardan ke liye talwar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.