mom ki tarah pighal kar dekho
mom kī tarah pighal kar dekho
phir kaḌī dhuup kā manzar dekho
karb hī karb hai sannāTe kā
jhāñk kar tum mire andar dekho
niiñd in palkoñ se katrā.egī
aag hai vaqt kā bistar dekho
aa ga.e ho to mire shahr meñ bhī
aadmī naam kā ḳhanjar dekho
koī shīshoñ kā masīhā hī nahīñ
duur tak dekho to patthar dekho
silsila maujoñ kā jaarī hai yahāñ
aao āñkhoñ meñ samundar dekho
koī mausam ho mire ghar meñ 'rafīq'
vahī sahrāoñ kā manzar dekho
mom ki tarah pighal kar dekho
phir kaDi dhup ka manzar dekho
karb hi karb hai sannaTe ka
jhank kar tum mere andar dekho
nind in palkon se katraegi
aag hai waqt ka bistar dekho
aa gae ho to mere shahr mein bhi
aadmi nam ka KHanjar dekho
koi shishon ka masiha hi nahin
dur tak dekho to patthar dekho
silsila maujon ka jari hai yahan
aao aankhon mein samundar dekho
koi mausam ho mere ghar mein 'rafiq'
wahi sahraon ka manzar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.