muaf ai shan-e-kibriyai ye arz meri gila nahin hai
muaf ai shan-e-kibriyai ye arz meri gila nahin hai
Iftikhar Ahamad Siddiqi
MORE BYIftikhar Ahamad Siddiqi
muaaf ai shān-e-kibriyā.ī ye arz merī gila nahīñ hai
ki tere dar ke sivā mirā sar kisī ke dar par jhukā nahīñ hai
hasīn thiiñ zindagī kī rāheñ to aql-o-dānish ke giit gaa.e
jo aa.iiñ dushvāriyāñ to chīḳhe ḳhudā nahīñ hai ḳhudā nahīñ hai
ġhalat thā armān-e-rāhat-e-dil fuzūl thī koshish-e-masarrat
sukūn māyūs ho ke paayā ki ab koī aasrā nahīñ hai
hamārā īmāñ husūl-e-daulat banāyā makr-o-daġhā ko fitrat
zabāñ se iqrār hai ḳhudā kā gumān ye hai ḳhudā nahīñ hai
namāz to hai farīza-e-rab namāz paḌh kar duā na māñgo
duā ḳhudā se mutālba hai mutālba iltijā nahīñ hai
har ek ne.amat hameñ mayassar tamām duniyā hamārī duniyā
hameñ milā dard-āshnā dil hamāre qabze meñ kyā nahīñ hai
tavāzun-e-nūr-o-nār meñ hai baqā-e-tanzīm-e-nau-e-insāñ
vo ḳhud kareñge ḳhudā ko paidā jo kah rahe haiñ ḳhudā nahīñ hai
muaf ai shan-e-kibriyai ye arz meri gila nahin hai
ki tere dar ke siwa mera sar kisi ke dar par jhuka nahin hai
hasin thin zindagi ki rahen to aql-o-danish ke git gae
jo aain dushwariyan to chiKHe KHuda nahin hai KHuda nahin hai
ghalat tha arman-e-rahat-e-dil fuzul thi koshish-e-masarrat
sukun mayus ho ke paya ki ab koi aasra nahin hai
hamara iman husul-e-daulat banaya makr-o-dagha ko fitrat
zaban se iqrar hai KHuda ka guman ye hai KHuda nahin hai
namaz to hai fariza-e-rab namaz paDh kar dua na mango
dua KHuda se mutalba hai mutalba iltija nahin hai
har ek neamat hamein mayassar tamam duniya hamari duniya
hamein mila dard-ashna dil hamare qabze mein kya nahin hai
tawazun-e-nur-o-nar mein hai baqa-e-tanzim-e-nau-e-insan
wo KHud karenge KHuda ko paida jo kah rahe hain KHuda nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.