mubarak ho use jis ke liye sansar hai sab kuchh
mubarak ho use jis ke liye sansar hai sab kuchh
Mohammad Ghulam Nurani
MORE BYMohammad Ghulam Nurani
mubārak ho use jis ke liye sansār hai sab kuchh
hamāre vāste to bas hamārā yaar hai sab kuchh
kiyā aadam ko sajda dekh kar ke jo farishtoñ ne
vo jo zāhir hai andar us kā hī iz.hār hai sab kuchh
na pūchhe ham se koī ki hamārī asliyat kyā hai
jo be-parda hai parde meñ vahī kirdār hai sab kuchh
laboñ par āh-o-zārī ho ravāñ ho ashk āñkhoñ se
na ho tar dāman-e-ehsās to bekār hai sab kuchh
ye bazm-e-‘ishq hai phirte yahāñ haiñ tājvar kitne
yahāñ qīmat junūñ kī hai dil-e-bīmār hai sab kuchh
badalte haiñ nazāre har ghaḌī 'jauhar' nigāhoñ meñ
nazar ho muntazir to dīda-e-bedār hai sab kuchh
mubarak ho use jis ke liye sansar hai sab kuchh
hamare waste to bas hamara yar hai sab kuchh
kiya aadam ko sajda dekh kar ke jo farishton ne
wo jo zahir hai andar us ka hi izhaar hai sab kuchh
na puchhe hum se koi ki hamari asliyat kya hai
jo be-parda hai parde mein wahi kirdar hai sab kuchh
labon par aah-o-zari ho rawan ho ashk aankhon se
na ho tar daman-e-ehsas to bekar hai sab kuchh
ye bazm-e-‘ishq hai phirte yahan hain tajwar kitne
yahan qimat junun ki hai dil-e-bimar hai sab kuchh
badalte hain nazare har ghaDi 'jauhar' nigahon mein
nazar ho muntazir to dida-e-bedar hai sab kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.