mubtala-e-itab hain hum log
Interesting Fact
May 1951
mubtalā-e-itāb haiñ ham log
ik asīr-e-azāb haiñ ham log
apne dil ko itaab haiñ ham log
ḳhud sarāsar azaab haiñ ham log
apnī barbādī apne hāthoñ kī
kaise ḳhāna-ḳharāb haiñ ham log
apnā koī bhī to javāb nahīñ
ḳhud hī apne javāb haiñ ham log
kaash nākāmiyāñ hoñ pai-dar-pai
samjho ki kāmyāb haiñ ham log
kah rahī hai jinheñ burā duniyā
vo hī ḳhāna-ḳharāb haiñ ham log
apnī manzil se ham palaT aa.e
aise gumrāh janāb haiñ ham log
aaj duniyā ke sāmne ai 'rāz'
dam-ba-ḳhud lā-javāb haiñ ham log
mubtala-e-itab hain hum log
ek asir-e-azab hain hum log
apne dil ko itab hain hum log
KHud sarasar azab hain hum log
apni barbaadi apne hathon ki
kaise KHana-KHarab hain hum log
apna koi bhi to jawab nahin
KHud hi apne jawab hain hum log
kash nakaamiyan hon pai-dar-pai
samjho ki kaamyab hain hum log
kah rahi hai jinhen bura duniya
wo hi KHana-KHarab hain hum log
apni manzil se hum palaT aae
aise gumrah janab hain hum log
aaj duniya ke samne ai 'raaz'
dam-ba-KHud la-jawab hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.