muD-muD ke kise dekhta tha koi nahin tha
muḌ-muḌ ke kise dekhtā thā koī nahīñ thā
chhūTe hue logoñ meñ mirā koī nahīñ thā
mā'lūm thā haiñ dastakeñ bachchoñ kī sharārat
dar khol ke bhī dekh liyā koī nahīñ thā
bekār hī Darte the ki us hijr-makāñ meñ
aaseb the āseb-zada koī nahīñ thā
duniyā thī tire gird tire pesh koī ho
merā to kahīñ tere sivā koī nahīñ thā
lauTā huuñ tahī-dast jo bāzār se maiñ hī
vo yuuñ ki ḳharīdār-e-vafā koī nahīñ thā
maiñ chāhtā huuñ dūsrī jānib bhī koī ho
lauT aa.ī hai āvāz to kyā koī nahīñ thā
tasvīr udāsī ke har ik rang se bharpūr
tasvīr meñ ik terī jagah koī nahīñ thā
muD-muD ke kise dekhta tha koi nahin tha
chhuTe hue logon mein mera koi nahin tha
ma'lum tha hain dastaken bachchon ki shararat
dar khol ke bhi dekh liya koi nahin tha
bekar hi Darte the ki us hijr-makan mein
aaseb the aaseb-zada koi nahin tha
duniya thi tere gird tere pesh koi ho
mera to kahin tere siwa koi nahin tha
lauTa hun tahi-dast jo bazar se main hi
wo yun ki KHaridar-e-wafa koi nahin tha
main chahta hun dusri jaanib bhi koi ho
lauT aai hai aawaz to kya koi nahin tha
taswir udasi ke har ek rang se bharpur
taswir mein ek teri jagah koi nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.