mudam chalna hai mushkil to mere sath na chal
mudām chalnā hai mushkil to mere saath na chal
tujhe hai hājat-e-mahmil to mere saath na chal
safar hī jis kī hai manzil maiñ vo musāfir huuñ
safar kā chāhe tū hāsil to mere saath na chal
bahut aziiz hai mujh ko mirā adhūrā-pan
tujhe hai honā mukammal to mere saath na chal
maiñ toḌ aaya huuñ bandhan sabhī rivājoñ ke
tū gar hai pā-ba-salāsil to mere saath na chal
nahīñ pasand zamāne kī dauḌ-bhāg mujhe
tū gar hai dauḌ meñ shāmil to mere saath na chal
milī hai āñkheñ to lāzim nahīñ ki dil bhī mileñ
mile na dil se agar dil to mere saath na chal
tirī nazar meñ jahālat hai sādgī shāyad
nahīñ maiñ saath ke qābil to mere saath na chal
mudam chalna hai mushkil to mere sath na chal
tujhe hai hajat-e-mahmil to mere sath na chal
safar hi jis ki hai manzil main wo musafir hun
safar ka chahe tu hasil to mere sath na chal
bahut aziz hai mujh ko mera adhura-pan
tujhe hai hona mukammal to mere sath na chal
main toD aaya hun bandhan sabhi riwajon ke
tu gar hai pa-ba-salasil to mere sath na chal
nahin pasand zamane ki dauD-bhag mujhe
tu gar hai dauD mein shamil to mere sath na chal
mili hai aankhen to lazim nahin ki dil bhi milen
mile na dil se agar dil to mere sath na chal
teri nazar mein jahaalat hai sadgi shayad
nahin main sath ke qabil to mere sath na chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.