mudam le ke mujhe halqa-war nachti hai
mudām le ke mujhe halqa-vār nāchtī hai
jidhar chalūñ nigah-e-tarah-dār nāchtī hai
milā hai va.ada-e-fardā bajā.e naqd-e-visāl
hamārī ruuh ko dekho udhār nāchtī hai
ye kis nazar ne tilism-e-ḳhizāñ ko kaaT diyā
palak jhapakte meñ har sū bahār nāchtī hai
phire malūl vo dargāh ke ahāte meñ
aur aa.e vajd meñ to be-shumār nāchtī hai
paTaḳh ke sar kabhī rotā hai hijr kā āzār
umīd-e-vasl kabhī baar baar nāchtī hai
vahī nahīñ use darkār izn-e-ḳhākī thā
jo mil gayā to ye musht-e-ġhubār nāchtī hai
hamārī ruuh 'tabassum' suḳhan kī hai jogan
ġhazal ke gar kahīñ chhiḌ jaa.eñ taar nāchtī hai
mudam le ke mujhe halqa-war nachti hai
jidhar chalun nigah-e-tarah-dar nachti hai
mila hai wada-e-farda bajae naqd-e-visal
hamari ruh ko dekho udhaar nachti hai
ye kis nazar ne tilism-e-KHizan ko kaT diya
palak jhapakte mein har su bahaar nachti hai
phire malul wo dargah ke ahate mein
aur aae wajd mein to be-shumar nachti hai
paTaKH ke sar kabhi rota hai hijr ka aazar
umid-e-wasl kabhi bar bar nachti hai
wahi nahin use darkar izn-e-KHaki tha
jo mil gaya to ye musht-e-ghubar nachti hai
hamari ruh 'tabassum' suKHan ki hai jogan
ghazal ke gar kahin chhiD jaen tar nachti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.