muddaa koi apna na paya
mudda.ā koī apnā na paayā
jab duā ke liye haath uThāyā
us meñ apnā hī sab aks paayā
un ke chehre pe jo rang aaya
be-ḳhudī par mirī hañsne vaalo
lo sa.mbhālo mujhe hosh aaya
vo zamīñ sajda-gāh-e-vafā hai
paḌ gayā hai jahāñ apnā saayā
ham ne khāyā fareb-e-mohabbat
chain kho kar hameñ chain aaya
rāhzan hī vo niklā bil-āḳhir
rahnumā jis ko apnā banāyā
tū ne uqbā ko firdaus baḳhshī
ham ne duniyā ko jannat banāyā
yaad un kī baḌhā.ī shab-e-ġham
aag ko aag hī se bujhāyā
band āñkhoñ ke the sab karishme
aañkh kholī to kuchh bhī na paayā
vo bhī hairān ham bhī pareshāñ
ishq 'bāsit' kise raas aaya
muddaa koi apna na paya
jab dua ke liye hath uThaya
us mein apna hi sab aks paya
un ke chehre pe jo rang aaya
be-KHudi par meri hansne walo
lo sambhaalo mujhe hosh aaya
wo zamin sajda-gah-e-wafa hai
paD gaya hai jahan apna saya
hum ne khaya fareb-e-mohabbat
chain kho kar hamein chain aaya
rahzan hi wo nikla bil-aKHir
rahnuma jis ko apna banaya
tu ne uqba ko firdaus baKHshi
hum ne duniya ko jannat banaya
yaad un ki baDhai shab-e-gham
aag ko aag hi se bujhaya
band aankhon ke the sab karishme
aankh kholi to kuchh bhi na paya
wo bhi hairan hum bhi pareshan
ishq 'basit' kise ras aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.