muddai KHud hai KHun-e-bismil ki
mudda.ī ḳhud hai ḳhūn-e-bismil kī
uf vo nīchī nigāh qātil kī
tum ne kyoñ naaz se mujhe dekhā
ab mujhī par nazar hai mahfil kī
mere rone pe ro diye vo bhī
bad-gumānī nikal ga.ī dil kī
ai zahe dil ki un kī ḳhalvat meñ
yaad hotī rahī mire dil kī
tujh se milne se ai sarāpā naaz
vahshateñ aur baḌh ga.iiñ dil kī
ḳhaak chhūTegā ishq ab 'maikash'
ibtidā hī bigaḌ ga.ī dil kī
muddai KHud hai KHun-e-bismil ki
uf wo nichi nigah qatil ki
tum ne kyon naz se mujhe dekha
ab mujhi par nazar hai mahfil ki
mere rone pe ro diye wo bhi
bad-gumani nikal gai dil ki
ai zahe dil ki un ki KHalwat mein
yaad hoti rahi mere dil ki
tujh se milne se ai sarapa naz
wahshaten aur baDh gain dil ki
KHak chhuTega ishq ab 'maikash'
ibtida hi bigaD gai dil ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.