muddat hui ab tak wo mera yar na aaya
muddat huī ab tak vo merā yaar na aaya
dil le gayā par dene ko dīdār na aaya
kāfir bhī hue us but-e-kāfir ke liye ham
Daalā hai gale ishq kā zunnār na aaya
dīvāna huuñ maiñ hāl-e-junūñ be-sar-o-sāmāñ
lo kar ke mujhe hijr kā bīmār na aaya
īmān dil-o-jān talak kar diyā qurbāñ
par monis-o-hamdam mirā ġham-ḳhvār na aaya
ai bād-e-sabā tū merā ahvāl kar iz.hār
afsos ki vo mahram-e-asrār na aaya
mushtāq sadā ham to haiñ us husn-e-azal ke
vo shoḳh-nazar sānī-e-talvār na aaya
muddat hui ab tak wo mera yar na aaya
dil le gaya par dene ko didar na aaya
kafir bhi hue us but-e-kafir ke liye hum
Dala hai gale ishq ka zunnar na aaya
diwana hun main haal-e-junun be-sar-o-saman
lo kar ke mujhe hijr ka bimar na aaya
iman dil-o-jaan talak kar diya qurban
par monis-o-hamdam mera gham-KHwar na aaya
ai baad-e-saba tu mera ahwal kar izhaar
afsos ki wo mahram-e-asrar na aaya
mushtaq sada hum to hain us husn-e-azal ke
wo shoKH-nazar sani-e-talwar na aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.