muddat hui apni aankhon ko kyon ashk-fishani yaad aai
muddat huī apnī āñkhoñ ko kyoñ ashk-fishānī yaad aa.ī
kyā dil ne unheñ phir yaad kiyā phir bhūlī kahānī yaad aa.ī
barkhā kī barastī rātoñ meñ jab bhūlī kahānī yaad aa.ī
phir apnā fasāna yaad aaya phir terī javānī yaad aa.ī
kuchh sard sī aaheñ dāġh-e-jigar āñkhoñ kī namī aur dil kī ḳhalish
rah rah ke vo bichhḌe sājan kī har ek nishānī yaad aa.ī
gulshan kī fazā se jab guzrā ġhunchoñ kā chaTaknā bhī dekhā
hoñToñ kī hañsī āñkhoñ kī namī aur shaam suhānī yaad aa.ī
duniyā se bachā kar is dil ko niiñd aa ga.ī karvaT le le kar
'shāhīn' kahānī bhūlī huī ḳhvāboñ kī zabānī yaad aa.ī
muddat hui apni aankhon ko kyon ashk-fishani yaad aai
kya dil ne unhen phir yaad kiya phir bhuli kahani yaad aai
barkha ki barasti raaton mein jab bhuli kahani yaad aai
phir apna fasana yaad aaya phir teri jawani yaad aai
kuchh sard si aahen dagh-e-jigar aankhon ki nami aur dil ki KHalish
rah rah ke wo bichhDe sajan ki har ek nishani yaad aai
gulshan ki faza se jab guzra ghunchon ka chaTakna bhi dekha
honTon ki hansi aankhon ki nami aur sham suhani yaad aai
duniya se bacha kar is dil ko nind aa gai karwaT le le kar
'shahin' kahani bhuli hui KHwabon ki zabani yaad aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.