muddat hui sheron ke siwa kuchh nahin kahta
muddat huī she'roñ ke sivā kuchh nahīñ kahtā
yā'nī maiñ ba-juz nāz-o-adā kuchh nahīñ kahtā
kartā hai mohabbat to parastish kī hadoñ tak
barham ho to ġhusse meñ vo kyā kuchh nahīñ kahtā
darvesh tabī'at mujhe virse meñ milī hai
maiñ Thiik ġhalat achchhā burā kuchh nahīñ kahtā
detā hai koī shoḳh badan izn-e-jasārat
tū haath baḌhā band-e-qabā kuchh nahīñ kahtā
ai nek manush merī nahīñ fikr kar apnī
ujḌe hue logoñ ko ḳhudā kuchh nahīñ kahtā
ye jo nazar aatā hai har ik daaġh salāmat
yuuñ hai ki purāne ko nayā kuchh nahīñ kahtā
rotā hai bahut jo bhī nayā aa.e jahāñ meñ
hotā hai qafas se jo rihā kuchh nahīñ kahtā
muddat hui she'ron ke siwa kuchh nahin kahta
ya'ni main ba-juz naz-o-ada kuchh nahin kahta
karta hai mohabbat to parastish ki hadon tak
barham ho to ghusse mein wo kya kuchh nahin kahta
darwesh tabi'at mujhe wirse mein mili hai
main Thik ghalat achchha bura kuchh nahin kahta
deta hai koi shoKH badan izn-e-jasarat
tu hath baDha band-e-qaba kuchh nahin kahta
ai nek manush meri nahin fikr kar apni
ujDe hue logon ko KHuda kuchh nahin kahta
ye jo nazar aata hai har ek dagh salamat
yun hai ki purane ko naya kuchh nahin kahta
rota hai bahut jo bhi naya aae jahan mein
hota hai qafas se jo riha kuchh nahin kahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.