muddat hui tufan-e-bala-KHez ko guzre
muddat huī tūfān-e-balā-ḳhez ko guzre
kuchh log haiñ ab tak jo nikalte nahīñ ghar se
sun kar mirī dīvāngī-e-'ishq ke charche
ye 'aql ke bande mire hamrāh na Thahre
huuñ ḳhaufzada tīrgī-e-zehn se ghar meñ
aur ghar se nikaltā huuñ to Daste haiñ ujāle
ye tishnagī ban jaa.e na hangāme kā bā'is
baiThe haiñ qadah-ḳhvār baḌī der se pyāse
ai ahl-e-jahāñ tum se masīhā.ī na hogī
ye zaḳhm na bhar pā.eñge ye zaḳhm haiñ gahre
Dar hai ki na ban jaao kahīñ ḳhud hī tamāsha
ham ahl-e-mohabbat ke na tum dekho tamāshe
ye 'ishq to ḳhud.dār banātā hai bashar ko
'bāsit' vo nahīñ 'ishq jo pindār miTā de
muddat hui tufan-e-bala-KHez ko guzre
kuchh log hain ab tak jo nikalte nahin ghar se
sun kar meri diwangi-e-'ishq ke charche
ye 'aql ke bande mere hamrah na Thahre
hun KHaufzada tirgi-e-zehn se ghar mein
aur ghar se nikalta hun to Daste hain ujale
ye tishnagi ban jae na hangame ka ba'is
baiThe hain qadah-KHwar baDi der se pyase
ai ahl-e-jahan tum se masihai na hogi
ye zaKHm na bhar paenge ye zaKHm hain gahre
Dar hai ki na ban jao kahin KHud hi tamasha
hum ahl-e-mohabbat ke na tum dekho tamashe
ye 'ishq to KHuddar banata hai bashar ko
'basit' wo nahin 'ishq jo pindar miTa de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.