muddat ke baad un se mulaqat ho gai
muddat ke baa'd un se mulāqāt ho ga.ī
achchhā huā talāfī-e-māfāt ho ga.ī
mahsūs raushnī meñ huā raat ho ga.ī
is darja tez shiddat-e-jazbāt ho ga.ī
nīchī nazar se pursish-e-jazbāt ho ga.ī
go vo rahe ḳhamosh magar baat ho ga.ī
jis daur meñ bhī 'azm ko rahbar banā liyā
tārīḳh apnī hasb-e-rivāyāt ho ga.ī
tark-e-ta'alluqāt kī buniyād kuchh nahīñ
baiThe-biThā.e yuuñ hī bas ik baat ho ga.ī
nākām dil huā to sharāra sā jal uThā
sahmī vafā to talḳhī-e-jazbāt ho ga.ī
ḳhātir meñ vo use bhī na laa.e kabhī 'jamāl'
vo be-ruḳhī jo jān-e-shikāyāt ho ga.ī
muddat ke ba'd un se mulaqat ho gai
achchha hua talafi-e-mafat ho gai
mahsus raushni mein hua raat ho gai
is darja tez shiddat-e-jazbaat ho gai
nichi nazar se pursish-e-jazbaat ho gai
go wo rahe KHamosh magar baat ho gai
jis daur mein bhi 'azm ko rahbar bana liya
tariKH apni hasb-e-riwayat ho gai
tark-e-ta'alluqat ki buniyaad kuchh nahin
baiThe-biThae yun hi bas ek baat ho gai
nakaam dil hua to sharara sa jal uTha
sahmi wafa to talKHi-e-jazbaat ho gai
KHatir mein wo use bhi na lae kabhi 'jamal'
wo be-ruKHi jo jaan-e-shikayat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.