muddat se aarzu hai dil-e-be-qarar mein
muddat se aarzū hai dil-e-be-qarār meñ
kuchh to kamī ho talḳhī-e-lail-o-nahār meñ
kyā jaane kaise ho gayā kyūñkar ye ho gayā
raunaq rahī na pahlī sī fasl-e-bahār meñ
takmīl-e-shauq meñ na kabhī mil sakī vo shai
jo thī qadam qadam tapish-e-intizār meñ
āb-e-ravāñ kī pahuñchīñ yahāñ tak kasāfateñ
ghuTne lagā hai maahī kā dam jū-e-bār meñ
duniyā kī talḳhiyoñ ne use bhī miTā diyā
miltā thā bāñkpan jo kabhī nigh-e-yār meñ
ishrat mile har ek ko to koī baat hai
ye kyā ki baT rahe vo faqat do hī chaar meñ
muddat se aarzu hai dil-e-be-qarar mein
kuchh to kami ho talKHi-e-lail-o-nahaar mein
kya jaane kaise ho gaya kyunkar ye ho gaya
raunaq rahi na pahli si fasl-e-bahaar mein
takmil-e-shauq mein na kabhi mil saki wo shai
jo thi qadam qadam tapish-e-intizar mein
aab-e-rawan ki pahunchin yahan tak kasafaten
ghuTne laga hai mahi ka dam ju-e-bar mein
duniya ki talKHiyon ne use bhi miTa diya
milta tha bankpan jo kabhi nigh-e-yar mein
ishrat mile har ek ko to koi baat hai
ye kya ki baT rahe wo faqat do hi chaar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.