muddat se dar pe hai mere tala paDa hua
muddat se dar pe hai mire taalā paḌā huā
maiñ apne ghar se huuñ kahīñ bāhar gayā huā
jo thī lakīr nuur kī vo hai miTī huī
jo hai charāġh taaq meñ vo hai bujhā huā
bāteñ ḳhayāl-o-ḳhvāb kī kartā nahīñ huuñ maiñ
dekhā hai maiñ ne dasht meñ dariyā paḌā huā
donoñ hī ke mizāj meñ taḳhrīb thī bahut
us kā bhalā huā hai na merā bhalā huā
phir us ke baad āsmāñ terā banegā kyā
maiñ is zamīñ kī qaid se jis din rihā huā
bāġh-o-bahār bhī huuñ maiñ vīrān bhī huuñ maiñ
ḳhushiyoñ ke saath saath hai ġham bhī lagā huā
dīvār-o-dar se vahshateñ jaatī nahīñ 'sahar'
ik dasht hai makān se mere milā huā
muddat se dar pe hai mere tala paDa hua
main apne ghar se hun kahin bahar gaya hua
jo thi lakir nur ki wo hai miTi hui
jo hai charagh taq mein wo hai bujha hua
baaten KHayal-o-KHwab ki karta nahin hun main
dekha hai main ne dasht mein dariya paDa hua
donon hi ke mizaj mein taKHrib thi bahut
us ka bhala hua hai na mera bhala hua
phir us ke baad aasman tera banega kya
main is zamin ki qaid se jis din riha hua
bagh-o-bahaar bhi hun main viran bhi hun main
KHushiyon ke sath sath hai gham bhi laga hua
diwar-o-dar se wahshaten jati nahin 'sahar'
ek dasht hai makan se mere mila hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.