muddat se jism barf mein jakDa hua sa hai
muddat se jism barf meñ jakḌā huā sā hai
māhaul mere siine meñ baiThā huā sā hai
kohre meñ aañkh phuuT ga.ī tab ḳhabar milī
sūraj mirī talāsh meñ niklā huā sā hai
har aañkh mujh pe paḌtī hai talvār kī tarah
har shaḳhs mere ḳhuuñ meñ nahāyā huā sā hai
nafrat ke jis pahāḌ ke nīche khaḌā huuñ maiñ
vo saarī kā.enāt pe phailā huā sā hai
ghar meñ dhuāñ bharā hai ki baiThūñ to dam ghuTe
bāhar tamām shahr sulagtā huā sā hai
haañ maiñ ġhunūdgī ke dhundalke meñ huuñ asiir
haañ merā zehn sadiyoñ kā jaagā huā sā hai
muddat se jism barf mein jakDa hua sa hai
mahaul mere sine mein baiTha hua sa hai
kohre mein aankh phuT gai tab KHabar mili
suraj meri talash mein nikla hua sa hai
har aankh mujh pe paDti hai talwar ki tarah
har shaKHs mere KHun mein nahaya hua sa hai
nafrat ke jis pahaD ke niche khaDa hun main
wo sari kaenat pe phaila hua sa hai
ghar mein dhuan bhara hai ki baiThun to dam ghuTe
bahar tamam shahr sulagta hua sa hai
han main ghunudgi ke dhundalke mein hun asir
han mera zehn sadiyon ka jaga hua sa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.