Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muddat se jo band paDa tha aaj wo kamra khol diya

Mohsin Aftab Kelapuri

muddat se jo band paDa tha aaj wo kamra khol diya

Mohsin Aftab Kelapuri

MORE BYMohsin Aftab Kelapuri

    muddat se jo band paḌā thā aaj vo kamra khol diyā

    maiñ ne tere sāmne dil kachchā-chiTThā khol diyā

    mujh se laḌne vaale saare maidāñ chhoḌ ke bhaag ga.e

    le kar ik talvār jo maiñ ne apnā siina khol diyā

    phuul samajh kar titlī bhañvre us pe aa kar baiTh ga.e

    baaġh meñ kar juuñ us ne apnā chehra khol diyā

    saare kāmoñ ko nipTā kar aadhī raat meñ soī thī

    bhor bha.e phir uTh kar ammā ne darvāza khol diyā

    mujh ko dekh ke merā jumla juuñ us ko yaad aayā

    us ne jo bāñdhā thā vo bāloñ juuḌā khol diyā

    muddat se jo band paDa tha aaj wo kamra khol diya

    main ne tere samne dil ka kachcha-chiTTha khol diya

    mujh se laDne wale sare maidan chhoD ke bhag gae

    le kar ek talwar jo main ne apna sina khol diya

    phul samajh kar titli bhanwre us pe aa kar baiTh gae

    bagh mein ja kar jun hi us ne apna chehra khol diya

    sare kaamon ko nipTa kar aadhi raat mein soi thi

    bhor bhae phir uTh kar amma ne darwaza khol diya

    mujh ko dekh ke mera jumla jun hi us ko yaad aaya

    us ne jo bandha tha wo baalon ka juDa khol diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now