muddaton baad usi shaKHs ki yaad aai hai
muddatoñ baa'd usī shaḳhs kī yaad aa.ī hai
shaḳhs bhī vo jo ki muddat hī se harjā.ī hai
ab kahāñ jāoge kis dar pe duhā.ī doge
is zamāne meñ tumhārī kahāñ sunvā.ī hai
aur kī samt kyoñ angusht-numā hai pyāre
terā kirdār hī tere liye dukh-dā.ī hai
bāġhbāñ tujh se chaman ḳhauf-zada hai saarā
gul haiñ ḳhāmosh sabhī har kalī murjhā.ī hai
zaḳhm denā tirā phir un pe lagānā marham
vaah kyā ḳhuub ye andāz-e-masīhā.ī hai
vaise is daur meñ mushkil hai guzārā karnā
aur is par ye sitam toḌtī mahñgā.ī hai
vaqt badlā to vo ye bhuul ga.e haiñ 'faisal'
'umr-bhar saath nibhāne kī qasam khaa.ī hai
muddaton ba'd usi shaKHs ki yaad aai hai
shaKHs bhi wo jo ki muddat hi se harjai hai
ab kahan jaoge kis dar pe duhai doge
is zamane mein tumhaari kahan sunwai hai
aur ki samt kyon angusht-numa hai pyare
tera kirdar hi tere liye dukh-dai hai
baghban tujh se chaman KHauf-zada hai sara
gul hain KHamosh sabhi har kali murjhai hai
zaKHm dena tera phir un pe lagana marham
wah kya KHub ye andaz-e-masihai hai
waise is daur mein mushkil hai guzara karna
aur is par ye sitam toDti mahngai hai
waqt badla to wo ye bhul gae hain 'faisal'
'umr-bhar sath nibhane ki qasam khai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.