muddaton ke baad phir un ke payam aane lage
muddaton ke baad phir un ke payam aane lage
Indr Mohan Mehta Kaif
MORE BYIndr Mohan Mehta Kaif
muddatoñ ke baad phir un ke payām aane lage
vaqt phir bhūle hue qisse na dohrāne lage
jhiil ke Thahre hue paanī meñ phir lahreñ uThīñ
phir ga.e mausam ke panchhī lauT kar aane lage
ham ki patthar the nishān-e-mīl ban kar rah ga.e
ḳhud na chal paa.e to sab ko raah dikhlāne lage
dāstānoñ meñ jo pariyāñ qaid thiiñ sab uḌ ga.iiñ
shahr-e-jāñ meñ ḳhauf ke aaseb mañDlāne lage
ghar ke sab dīvār-o-dar haiñ ghar ke būḌhoñ kī tarah
maiñ kisī shab der se lauTā to samjhāne lage
'kaif' din-bhar kī thakī haarī tamannāoñ ko ham
raat aa.ī to qabā ḳhvāboñ kī pahnāne lage
muddaton ke baad phir un ke payam aane lage
waqt phir bhule hue qisse na dohrane lage
jhil ke Thahre hue pani mein phir lahren uThin
phir gae mausam ke panchhi lauT kar aane lage
hum ki patthar the nishan-e-mil ban kar rah gae
KHud na chal pae to sab ko rah dikhlane lage
dastanon mein jo pariyan qaid thin sab uD gain
shahr-e-jaan mein KHauf ke aaseb manDlane lage
ghar ke sab diwar-o-dar hain ghar ke buDhon ki tarah
main kisi shab der se lauTa to samjhane lage
'kaif' din-bhar ki thaki haari tamannaon ko hum
raat aai to qaba KHwabon ki pahnane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.