muddaton KHub aazmati hai
muddatoñ ḳhuub āzmātī hai
phir mohabbat samajh meñ aatī hai
ruup apnā ujālne ke liye
zindagī dhuup meñ nahātī hai
sab charāġhoñ ko Das chukī āñdhī
ek din ḳhud se haar jaatī hai
saarā aalam duhā.ī detā hai
raat jab dāstāñ sunātī hai
koī māyūsiyoñ ko samjhā.e
chaah ḳhud rāsta banātī hai
koī an-ban huī hai gulshan se
kyuuñ 'sabā' lauT lauT jaatī hai
muddaton KHub aazmati hai
phir mohabbat samajh mein aati hai
rup apna ujalne ke liye
zindagi dhup mein nahati hai
sab charaghon ko Das chuki aandhi
ek din KHud se haar jati hai
sara aalam duhai deta hai
raat jab dastan sunati hai
koi mayusiyon ko samjhae
chah KHud rasta banati hai
koi an-ban hui hai gulshan se
kyun 'saba' lauT lauT jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.