muddaton se jami barf ke junhi tude pighalne lage
muddatoñ se jamī barf ke jūñhī tuude pighalne lage
gahre namkīn paanī jahāzoñ ke peñde nigalne lage
maiñ kahīñ baiTh kar biite lamhoñ ko tasbīh kartā rahā
aur āñkhoñ kī tah meñ chhupe rang parteñ badalne lage
tez āñdhī kisī mauj meñ mere āsār ko chhū ga.ī
aur kisī 'ahd ke kitne matrūk mā’bad nikalne lage
maiñ zamāne kī sarhad se us paar thā aur ḳhāmosh thā
maiñ ne un ke bhī hisse kā gaayā to vo saath chalne lage
vaqt kī lai mire saath ham-raqs thī aur baġhal-gīr thī
phir sabhī sarmadī naġhme āzurda sāzoñ meñ Dhalne lage
maiñ palaT aayā huuñ ḳhushk hote hue sāhiloñ kī taraf
ab mujhe is se kyā pattharoñ se bhī chashme ubalne lage
muddaton se jami barf ke junhi tude pighalne lage
gahre namkin pani jahazon ke pende nigalne lage
main kahin baiTh kar bite lamhon ko tasbih karta raha
aur aankhon ki tah mein chhupe rang parten badalne lage
tez aandhi kisi mauj mein mere aasar ko chhu gai
aur kisi 'ahd ke kitne matruk ma’bad nikalne lage
main zamane ki sarhad se us par tha aur KHamosh tha
main ne un ke bhi hisse ka gaya to wo sath chalne lage
waqt ki lai mere sath ham-raqs thi aur baghal-gir thi
phir sabhi sarmadi naghme aazurda sazon mein Dhalne lage
main palaT aaya hun KHushk hote hue sahilon ki taraf
ab mujhe is se kya pattharon se bhi chashme ubalne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.