muddaton se udas baiThi hun
muddatoñ se udaas baiThī huuñ
le ke tasvīr-e-yās baiThī huuñ
tishnagī kā gila karūñ kis se
jab maiñ dariyā ke paas baiThī
jis pe tahzīb ke sitāre haiñ
maiñ vo pahne libās baiThī huuñ
bint-e-havvā pe har taraf ḳhatra
mahv-e-ḳhauf-o-hirās baiThī huuñ
sūkhe hoñToñ ko dekhte kyā ho
le ke sadiyoñ kī pyaas baiThī huuñ
jaan jaa.e yā ye rahe 'zaryāb'
haq hai ki haq-shanās baiThī huuñ
muddaton se udas baiThi hun
le ke taswir-e-yas baiThi hun
tishnagi ka gila karun kis se
jab main dariya ke pas baiThi
jis pe tahzib ke sitare hain
main wo pahne libas baiThi hun
bint-e-hawwa pe har taraf KHatra
mahw-e-KHauf-o-hiras baiThi hun
sukhe honTon ko dekhte kya ho
le ke sadiyon ki pyas baiThi hun
jaan jae ya ye rahe 'zaryab'
haq hai ki haq-shanas baiThi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.