muflisi ne sar pe ek sada zarurat oDh li
muflisī ne sar pe ik saada zarūrat oḌh lī
naqd-e-hurmat bech kar badle meñ ġhurbat oḌh lī
ik tilism-andāz ā.īn-e-havā kī vaz.a par
chehra-e-nauras ne sat partoñ kī rañgat oḌh lī
shīsha-e-mastī meñ dānā.ī kā Tāñkā joḌ luuñ
nau-gudāz-e-dil ne bah jaane kī hasrat oḌh lī
talḳhī-e-āvāz se sab ne liyā kār-e-sipāh
aql ke dībācha-kāroñ ne siyāsat oḌh lī
pesh-manzar meñ thā mere apne hone kā savāl
kāñptī ik be-javāzī chup ne luknat oḌh lī
der tak aks-āfrīnī ke diye jalte rahe
phir nihāl-e-shab ne be-hangām ġhaflat oḌh lī
ye jo kū-e-zīst ke chand iḳhtitāmī log haiñ
kyā huā 'dā.em' adam kī sab ne tohmat oḌh lī
muflisi ne sar pe ek sada zarurat oDh li
naqd-e-hurmat bech kar badle mein ghurbat oDh li
ek tilism-andaz aain-e-hawa ki waza par
chehra-e-nauras ne sat parton ki rangat oDh li
shisha-e-masti mein danai ka Tanka joD lun
nau-gudaz-e-dil ne bah jaane ki hasrat oDh li
talKHi-e-awaz se sab ne liya kar-e-sipah
aql ke dibacha-karon ne siyasat oDh li
pesh-manzar mein tha mere apne hone ka sawal
kanpti ek be-jawazi chup ne luknat oDh li
der tak aks-afrini ke diye jalte rahe
phir nihaal-e-shab ne be-hangam ghaflat oDh li
ye jo ku-e-zist ke chand iKHtitami log hain
kya hua 'daem' adam ki sab ne tohmat oDh li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.