muflison par jab kabhi aaya shabab
muflisoñ par jab kabhī aayā shabāb
ghaḌ liye duniyā ne qisse be-hisāb
kaun jaane un kī kyā ta.abīr ho
ham ne āñkhoñ meñ sajā.e haiñ jo ḳhvāb
laḌkhaḌā jaa.eñ na kyoñ ham be-piye
un kī āñkhoñ se chhalaktī hai sharāb
haa.e ham us kā muqaddar kyā kaheñ
ek dil hai aur ġham haiñ be-hisāb
lazzat-e-shīrīnī-e-hastī kahāñ
talḳhiyoñ meñ kaT gayā daur-e-shabāb
rāhbar ne har qadam dhokā diyā
maiñ ye samjhā merī qismat hai ḳharāb
darham-o-barham hai nazm-e-zindagī
ai ġham-e-daurāñ tirā ḳhāna-ḳharāb
hosh kar ai shoḳh ab bhī vaqt hai
tujh ko le Dūbeñge ye jannat ke ḳhvāb
ham se duniyā ne chhupā.e the jo raaz
ḳhud-ba-ḳhud hone lage vo be-naqāb
zindagī bhar hazrat-e-'āsī' rahe
rahguzār-e-shauq maiñ nā-kāmyāb
muflison par jab kabhi aaya shabab
ghaD liye duniya ne qisse be-hisab
kaun jaane un ki kya tabir ho
hum ne aankhon mein sajae hain jo KHwab
laDkhaDa jaen na kyon hum be-piye
un ki aankhon se chhalakti hai sharab
hae hum us ka muqaddar kya kahen
ek dil hai aur gham hain be-hisab
lazzat-e-shirini-e-hasti kahan
talKHiyon mein kaT gaya daur-e-shabab
rahbar ne har qadam dhoka diya
main ye samjha meri qismat hai KHarab
darham-o-barham hai nazm-e-zindagi
ai gham-e-dauran tera KHana-KHarab
hosh kar ai shoKH ab bhi waqt hai
tujh ko le Dubenge ye jannat ke KHwab
hum se duniya ne chhupae the jo raaz
KHud-ba-KHud hone lage wo be-naqab
zindagi bhar hazrat-e-'asi' rahe
rahguzar-e-shauq main na-kaamyab
- Book : زندگی کے مارے لوگ (Pg. 69)
- Author : ودیا رتن آسی
- Publication : چیتن پرکاشن،پنجابی بھون،لدھیانہ (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.