muft kambaKHt mera sar na phirae waiz
muft kambaKHt mera sar na phirae waiz
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
muft kambaḳht mirā sar na phirā.e vaa.iz
hosh kī apne davā jā ke karā.e vaa.iz
lutf meñ hai ḳhalal-andāz sadā-e-vā.iz
ḳhuub ho sar se jo Tal jaa.e balā-e-vā.iz
shor hai qulqul-e-mīnā kā bapā rindoñ meñ
kaan meñ aa.e to kyā aa.e sadā-e-vā.iz
guftugū maz.haka zā barsar-e-mimbar kaisī
hañs rahe haiñ tujhe sab apne parā.e vaa.iz
sāmnā pīr-e-muġhāñ kā jo sar-e-mahfil ho
sūrat-e-shīsha-e-mai sar ko jhukā.e vaa.iz
paḌ chukā ham pe nasīhat kā asar ai 'mas.ūd'
sabz-bāġh aur kahīñ jā ke dikhā.e vaa.iz
muft kambaKHt mera sar na phirae waiz
hosh ki apne dawa ja ke karae waiz
lutf mein hai KHalal-andaz sada-e-waiz
KHub ho sar se jo Tal jae bala-e-waiz
shor hai qulqul-e-mina ka bapa rindon mein
kan mein aae to kya aae sada-e-waiz
guftugu mazhaka za barsar-e-mimbar kaisi
hans rahe hain tujhe sab apne parae waiz
samna pir-e-mughan ka jo sar-e-mahfil ho
surat-e-shisha-e-mai sar ko jhukae waiz
paD chuka hum pe nasihat ka asar ai 'masud'
sabz-bagh aur kahin ja ke dikhae waiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.