muft mein kyon len shab-e-gham maut ke aane ka nam
muft meñ kyoñ leñ shab-e-ġham maut ke aane kā naam
hausle kā past ho jaanā hai mar jaane kā naam
ab nahīñ lete dil-e-nādāñ ke samjhāne kā naam
jaise aatā hī na ho un ko taras khāne kā naam
ik zamāna thā nigāh-e-sharmagīñ uThtī na thī
ab sar-e-mahfil nahīñ lete vo sharmāne kā naam
kū-e-jānāñ meñ pahuñch kar jaise jannat mil ga.ī
ab dil-e-nādāñ nahīñ letā hai ghar jaane kā naam
mard-e-qāne ko kisī shai kī nahīñ hotī kamī
tang-dastī hai havas meñ haath phailāne kā naam
munhasir hai dil kī dhaḌkan par hī insāñ kī hayāt
varna marg-e-nā-gahāñ hai dil Thahar jaane kā naam
hai tulū-e-sub.h yā tābānī-e-rū-e-sabīh
manzar-e-shām-e-siyah gesū bikhar jaane kā naam
apne rūThe ko manānā 'zabt' go āsāñ nahīñ
hai taqāzā-e-mohabbat leñ na ghabrāne kā naam
muft mein kyon len shab-e-gham maut ke aane ka nam
hausle ka past ho jaana hai mar jaane ka nam
ab nahin lete dil-e-nadan ke samjhane ka nam
jaise aata hi na ho un ko taras khane ka nam
ek zamana tha nigah-e-sharmagin uThti na thi
ab sar-e-mahfil nahin lete wo sharmane ka nam
ku-e-jaanan mein pahunch kar jaise jannat mil gai
ab dil-e-nadan nahin leta hai ghar jaane ka nam
mard-e-qane ko kisi shai ki nahin hoti kami
tang-dasti hai hawas mein hath phailane ka nam
munhasir hai dil ki dhaDkan par hi insan ki hayat
warna marg-e-na-gahan hai dil Thahar jaane ka nam
hai tulu-e-subh ya tabani-e-ru-e-sabih
manzar-e-sham-e-siyah gesu bikhar jaane ka nam
apne ruThe ko manana 'zabt' go aasan nahin
hai taqaza-e-mohabbat len na ghabrane ka nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.