muhaal tha ki ye tufan-e-rang-o-bu aae
muhāl thā ki ye tūfān-e-rañg-o-bū aa.e
agar bahār tirā pairahan na chhū aa.e
bayān-e-dard aur is anjuman meñ dīvāno
kahāñ Dubo ke mohabbat kī aabrū aa.e
ye uñgliyāñ ki ab ik jaam ko tarastī haiñ
kabhī unhīñ se sitāroñ kī nabz chhū aa.e
na is qadar bhī takalluf se kaam lo ki sharāb
jo aa.e bhī to nazar ḳhūn-e-ārzū aa.e
hamārā pī ke bahaknā bhī kaam kā niklā
ki mai-kade meñ na.e sāġhar-o-subū aa.e
vo aa.ine the jo hairān ho ga.e 'ḳhāvar'
jamāl-e-dost hamāre tū rū-ba-rū aa.e
muhaal tha ki ye tufan-e-rang-o-bu aae
agar bahaar tera pairahan na chhu aae
bayan-e-dard aur is anjuman mein diwano
kahan Dubo ke mohabbat ki aabru aae
ye ungliyan ki ab ek jam ko tarasti hain
kabhi unhin se sitaron ki nabz chhu aae
na is qadar bhi takalluf se kaam lo ki sharab
jo aae bhi to nazar KHun-e-arzu aae
hamara pi ke bahakna bhi kaam ka nikla
ki mai-kade mein nae saghar-o-subu aae
wo aaine the jo hairan ho gae 'KHawar'
jamal-e-dost hamare tu ru-ba-ru aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.