mujh aise andhe pe kis nazar ne asar kiya hai
mujh aise andhe pe kis nazar ne asar kiya hai
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
mujh aise andhe pe kis nazar ne asar kiyā hai
ki ek nā-bīnā shaḳhs ko bā-basar kiyā hai
maiñ us se milne nikal paḌā thā chahār jānib
zamīn kyā āsmāñ kī jānib safar kiyā hai
hameñ bahāroñ ke sabz patte na raas aa.e
kisī kī chāhat ke mausamoñ ko basar kiyā hai
udaas lamhoñ meñ chain kā ye sabab banegī
sameT kar terī ḳhāmushī ko amar kiyā hai
use bhulāne meñ har kisī se hī dilbarī kī
ye ḳhair kā kaam thā to mushkil magar kiyā hai
kise huā hai nasīb duniyā meñ vasl 'jāmī'
koī batāo ye ma.arka jis ne sar kiyā hai
mujh aise andhe pe kis nazar ne asar kiya hai
ki ek na-bina shaKHs ko ba-basar kiya hai
main us se milne nikal paDa tha chahaar jaanib
zamin kya aasman ki jaanib safar kiya hai
hamein bahaaron ke sabz patte na ras aae
kisi ki chahat ke mausamon ko basar kiya hai
udas lamhon mein chain ka ye sabab banegi
sameT kar teri KHamushi ko amar kiya hai
use bhulane mein har kisi se hi dilbari ki
ye KHair ka kaam tha to mushkil magar kiya hai
kise hua hai nasib duniya mein wasl 'jami'
koi batao ye marka jis ne sar kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.